Shair hota hai ab Mahinon main
Zindagi dhal gayi mashinon main
Pyar ki Roshni nahi milti
Inn Makkanon main, In Makkinon main
Dekh ker Dosti ka Hath berhao
Saanp hotay hain Aastinon main
Qeher ki Aankh say na dekh inn ko
Dill dharaktay hain Aabginon main
Aasmanon ki khair ho Ya RAb!
Ik naya azzam hai zamminon main
Wo Mohabbat nahi rahi MEHR!
Hum-Saffiron main, Hum -Nashinon main