Eik chehra jo mere khawab sajja daita hai
Mujh ko mere hi khayalon main sadda daita hai
Woh mere kaun hai maloom nahi hai laikin
Jab bhi milta hai tu mere Ghum mitta daita hai
Main jo khabi tot ker bikhron tu wohi mujh ko
Chahnay kay liyye apne hath barha daita hai
Main jo Tanha khabi chupkay say rona chahon
Dil kay Darwazay ki Dehleez hilla daita hai
Usski qurbat main hai kya bat na jannay Yaarron!
Eik lamhay kay liyye Sadyon ko bhulla daita hai...