Kisi roz sham kay waqt
Suraj kay aram kay waqt
Mil jaye sath tera
hath main lay kay hath mera
door kahin tanhai main
dunia say judai main
Apnay sung bithaon tujhay
dil ka haal sunaon tujhay
Teri izzat ihteram karun
Taray hath ki lakeeron main talash apna naam karun
Isi waqt irada karain
Phir milnay ka wada karain
Kisi roz sham kay waqt
Suraj kay aram kay waqt