Aansuon sham ki palkon pay laraztay rehna
Dob jaye jo yah manzar to barastay rehna
Us ki aadat wohi har baat adhuri karna
Or phir baat ka mafhoom badaltay rehna
Sekh liya hay yah qreena hum nay
Bujh bhi jana to bari dair sulagtay rehna
Janay kis umar main jaye gi yah aadat uski
Ruthna khud say to oron say ulajhtay rehna