Yahan apni apni baari per
Sab hanstay hain
Sab roatay hain
Dil tu sab ka hota hai
Aur Dukh bhi sab k hotay hain
Kuch Ashq dillon pay girtay hain
Kuch Matti main ja miltay hain
Kuch lafz adda ho jatay hain
Kuch Honton main sill jatay hain
Maana k adhooray rehtay hain
Per Khawab tu sab k hotay hain
Kuch khoo ker bhi paa laitay hain
Kuch pa ker bhi khoo daiaty hain
Yahan apni apni baari per
Sab hanstay hain
Sab roatay hain