Hijjar k Mausam main yeh Barish ka barasna kaisa?
Eik Sehra Samandar ka guzzarna kaisa?
Aye mere Dil na preshan ho tanha ho ker
Wo tere sath challa kab tha, Bicharna kaisa?
Log kehtay hain Gulshan ki tabbahi dekho
Main tu veeran sa jungle tha, Ujharna kaisa?
Dekhne main tu koi Dard nahi , Dukh bhi nahi
Phir yeh Aankhon main you Aaskhon ka ubharna kaisa?
Bay-waffa kehnay ki jurrat bhi nahi kerna ussko
Uss n Iqraar kiya kab tha, Mukarna kaisa??