Sab sy chupa k dard,jo woh muskara dia
Uski hansi neh tu aj mujh ko rula dia
Lehjay se uth rahi hai her aik dard ki dastaan
Chehra bata raha tha k sab kuch ganwa dia
Aawaz mai thehrao tha ankhoo mai nami thi
Aur keh raha tha k mai neh sab kuch bhola dia
Janay kion usko logon sy thein shikayatain
Tanhaiyon k dais mai khud ko basa dia
Khud bhi woh hum sy bichaar k adhoora sa ho gaya
Mujh ko bhi itnay logon mai tanha bana dia..