Thi jis say roshni woh diya bhi nahi raha
Ab dil ko aitbar hoa bhi nahi raha
tu bujh gaya to ham bhi farozan na rah sakay
tu kho gaya to apna pata bhi nahi raha
kuch ham bhi taray bad zamanay say kat gayay
kuch rabt o zabt Khuda say bhi nahi raha
Goya hamaray haq main sitam dar sitam hoa
Harf e dua bhi dast e dua bhi nahi raha
Kya shayari karain kay taray baad shahar main
Lutf e kalam kaif e nawa bhi nahi raha