Yah mana zindagi hay char din ki
bohat hotay hain yaro char din bhi
Khuda ko pa gaya waaiz magar hay
zaroorat aadmi ko aadmi ki
Muhabbat main karain kya hal dil ki
Khushi hi kam aati hay na gham hi
Basata kya Khuda ujray jahan ko
Ghanimat hay yahan zat aadmi ki
kabhi basti thien duniyain bhi in main
Woh aankhain aaj jo hain sooni sooni
Rakeeb e gham zada ab sabr kar lay
Kabhi us say bhi meri dosti thi