Tere Intezar ki Rait pay
Koi Lafz maine likha na tha
Koi Harf maine kaha na tha
Koi khawaab maine chunna na tha
Issi Intezaar ki Rait pay..
Meri Aarzoo k Gullab thay
Meri justuju k Suraab thay...
Sabhi chahaton k jawab thay
Sabhi Hasratein wo kahan gayein......
Teri Chahatein wo kahan gayein......?
Mere Hamnasheen...Mere Humnawa...
Main Pallat k shayad na aa sakkon
Issi Intezaar ki Rait pay..
Main bikhar gayi hon Hawaon main
Mujhe Yaad rakhna Duaaon main...