Wo dil hi kya teray milnay ki jo doua na karay
Mein tujhko bhool k zinda rahoon "KHUDA" na karay
Raheiga saath tera pyar zindagi ban kar
Ye or baat meri zindagi wafa na karay
Ye theek hay nahi marta koi judai mein
"KHUDA" kissi ko kissay say magar juda na karay
Sunna hay ussko mohabbat douaaein deti hay
Jo dil pay choot tou khaey magar gila na karay