View Single Post
  #1  
Old 27-03-2009, 07:41 AM
usman_latif_ch's Avatar
usman_latif_ch usman_latif_ch is offline
Senior Member

 
Join Date: Sep 2008
Location: Lahore
Age: 39
Posts: 6,663
Contact Number: 03009441339, 03334146191
Program / Discipline: Engineering
Class Roll Number: BME-01083029 (The University Of Lahore)
usman_latif_ch has a reputation beyond reputeusman_latif_ch has a reputation beyond reputeusman_latif_ch has a reputation beyond reputeusman_latif_ch has a reputation beyond reputeusman_latif_ch has a reputation beyond reputeusman_latif_ch has a reputation beyond reputeusman_latif_ch has a reputation beyond reputeusman_latif_ch has a reputation beyond reputeusman_latif_ch has a reputation beyond reputeusman_latif_ch has a reputation beyond reputeusman_latif_ch has a reputation beyond repute
Poetry Bhale dino ki baat hai....

Bhale dino ki baat hai....
Bhali si ek shakal thi...
Na yeh Husn-E-Taam ho...
Na dekhne main aam ho....

Na yeh ke woh chale to kehkashan si guzar lage....
Magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage....

Koi bhi rut ho us ki chhab....
Fiza ka Rang-O-Roop thi...
Woh garmiyon ki chhaon thi....
Woh sardiyon ki dhoop thi.....

Na muddaton juda rahe...
Na saath Subh-o-Shaam ho....
Na Rishta-E-Wafa pe zid....
Na yeh ke Izn-E-Aam ho....

Na aisi khush libasiyan...
Na sadgi gila kare...
Na itni be takallufi...
Ki aaina haya kare....

Na ikhtilaat main woh ram...
Ki bad maza ho khwahishein...
Na is qadar supurdgi.....
Ki zach karein nawazishen....

NA aashiqui junoon ki....
Ki zindagi azaab ho....
Na is qadar kathor pan....
Ki dosti kharab ho.....

Kabhi to baat bhi khafi....
KAbhi sukoot bhi sukhan....
Kabhi to Kasht-E-Zafraan.....
Kabhi to udasiyon ka ban.....

Suna hai ek umar hai...
Muamilaat-E-Dil ki bhi...
Visaal-E-Jaanfiza to kya....
Firaaq-E-jaangusal ki bhi....

So ek roz kya hua....
Wafa pe behes chidh gayi....
MAin ishq ko amar kahoon...
Woh meri zid se chid gayi....

Main ishq ka aseer tha...
Woh ishq ko qafas kahe.....
Ke umar bhar ka saath ho....
Woh Bad-Taraz-Hawas kahe...

Shajar hijr nahi ki hum....
Hamesha pa ba gul rahe....
Na door hain ke rasiyan...
Gale main mustaqil rahein....

Muhabbaton ki vusatain....
Hamare Dast-O-Pa main hain....
Bas ek dar se nisbatein...
Sagaan-E-Bawafa main hai....

Main koi painting nahi....
Ki ek frame main rahoon...
Wahi jo mann ka meet ho....
Ussi ke prem main rahoon...

Tumhari soch jo bhi ho....
Main is mizaaj ki nahi....
Mujhe wafa se bair hai....
Yeh baat aaj ki nahi...

NA uska mujh pe maan tha....
Na mujhko us pe zaam hi.....
Jo ahad hi koi na huyi....
Toh kya Gham-E-Shikastgi....

So apna apna rasta....
Hansi khushi badal diya...
Woh apni raah chal padi...
Main apni raah chal diya...

BHali si ek shakal thi...
Bhali si uski dosti....
Ab us ki yaad raat din...
Nahi, magar "Kabhi-Kabhi"

__________________
Reply With Quote