Na gilla kya na khaffa howa
Yuhi rasaty main judda howa
Na wo Bay-Waffa, Na main bay-Waffa
Jo guzzar gaya so guzzar gaya...
Wo Ghazal ki eik Kitaab tha
Wo Gullon main eik Gullab tha
Zarra dair ka koi Khawab tha
Jo guzzar gaya so guzzar gaya...
Wo uddas dhoop samait ker
Kahin Waddiyon main uttar gaya
Usse ab na day mera dil sadda
Jo guzzar gaya so guzzar gaya...
Ye Saffar bhi kitna taweel tha
Yahan Waqt kitana qaleel tha
Kahan loat ker koi aaye ga...
Jo guzzar gaya so guzzar gaya...