Gaye mausam main jo khiltay thay Gullabon ki tarah
Dil pay utren gay wohi khawab azzabon ki tarah
Raakh kay dhairh pay ab raat basar kernai hai
Jal chukke hain mere Khaimay mere Khawabon ki tarah
Wo Samandar hai tu phir rooh ko Shadab kare
Tashangi kyou mujhe daita hai Sarabon ki tarah
Yaad tu hon gi tujhe ab bhi wo batein laikn!!!
Shelf main rakhi howi band kittabon ki tarah
Kon jane nae Saal main ty kiss ko perhay
Tere maayar badal jate hain Nissabon ki tarah...