View Single Post
Old 07-02-2009, 09:27 AM   #18
.BZU.
Default Re: Daily Lesson's from Islam and other (Share yours's)

Jaisa Amal karo gay, Waisi hei Adat paray gi aur Jaisi Adat paray gi Waisai Serat ho gi, Aur Jaisi serat ho gi waisai kismat pao gay.
What we get from this?
Our fates depend upon our activities and work... (which we daily do..)


Isi li ay kehtay hain:

Amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannum bhi
Yeh khaki apni fitrat mein na noori hai na naari hai

- 'Iqbal'
Amal nek hai woh tukhm ke phailta hai sada
Isi daane ko jo daana hai woh bo jaata hain

- 'Hamid Lucknowi'
Jab main kahta hoon ke ya Allah mera haal dekh
Hukm hota hai ke apna naamaye aamaal dekh

- 'Akbar Allahabadi'
  Reply With Quote