View Single Post
  #53  
Old 27-01-2009, 03:19 AM
zahidsyed707's Avatar
zahidsyed707 zahidsyed707 is offline
Toddler

 
Join Date: Jan 2009
Location: oman
Age: 40
Posts: 13
Contact Number: 0096895284830
Program / Discipline: English
Class Roll Number: 420
zahidsyed707 is on a distinguished road
Send a message via MSN to zahidsyed707 Send a message via Yahoo to zahidsyed707 Send a message via Skype™ to zahidsyed707
Default

Side table pe chai ka cuP..
Hath mein ISHQ pe likhi gai ek dastaan ki kitaB..
Aur dil ye bhi chahay ke chhat pe ja Ke..
Raat ki tanhaI..
Chand ki udasI..
Aur lamhon ki be-basi kO..

Apne andar utaar Ke..
Khud ko ISHQ-E-LAHASIL mein qaid kar liya jaeY..
Aur Aisay mein kisi ki yad na aaeY.....?
Na-mumkiN..!!!!



Hai woh garoh apna jo rah par nah aaya
jeene ko ji rahe hain, jeena magar nah aaya.

Tum dekhte ho mera kya haal ho gaya hai
par mere dekhne ko woh bekhabar nah aaya.

Waise main hosh main hoon par mujh ko ghamgusaro
tum hosh main nah laao jab chara gar nah aaya.

Ik shaam aur guzri, ik raat aur aai
woh saim tan nah aaya, woh saim bar nah aaya.

ye hosh hai k uss ki masti pe guftago thi
bad us ke hosh hum ko phir raat bhar nah aaya.

Ab hum kis ko, apni rodad kya sunaain
ik umar dil main reh kar ik din woh ghar nah aaya.

Woh rang hai tu aakhar hum ko nazar bhi aaye
woh rang tha, so ho ga, hum ko nazar nah aaya.

Doori ka ab gila kya, doori ki umar saari
pal thi, jise hisaab-e-shaam-o-seher nah aaya.


is adaa se bhi hoon main aashena
tujhey itna jis pe guroor hai
main jiyoon ga tere bagair bhi
mujhey zindagi ka shauor hai
jo samjh liya tujhey bewafa
tu phir is main teri bhi kiya khata
yeh khalal hai mere demaagka
yeh meri nazar ka kasoor hai
main nikal ke bhi tere daam se
na geroon ga apney maqam se
main qateel jo ru-e-situm sahi
mujhey tum se ishq zaroor hai ..


Kis cheez ko kehtay hain wafa bhool chuka hoon
Shaid ke main jeenay ki ada bhool chukka hoon
Din raat kabhi jo meray hontoon pe saja tha
Woh naam wohi harf e dua bhool chukka hoon
Ab aankh main meray kabhi aansu nahin aatay
Muddat se main ashkoon ki ghata bhool chukka hon
Tum hans ke milay ho to tumhain hans ke mila hoon
Kis baat pe tha tum se khafa bhool chukka hoon
Ab mujh ko kisi baat pe hairat nahin hoti
Tum ne jo kabhi ki thi jafa bhool chuka hoon


Last edited by .BZU.; 27-01-2009 at 04:07 AM. Reason: 4 posts merged