Ujaale apni yaadon ke humare sath rahne do
na jane kis gali main zindagi ki sham ho jaye
koi haath bhi na milayega jo gale miloge tapak se
ye naye mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo
koi phool dhoop ki pattiyon mein hare riban se bandha hua
ye ghazal ka lahza naya naya na kaha hua na suna hua
makaan se kya mujhe lena makaan tumko mubark ho
magar ye ghaas wala reshmi kaleen mera hai
kisne jalaayee bastiyan baazar kyon lute
main chaand pe gaya tha mujhe kuchh pata nahi
sar jhukaoge to patthar devta ho jayega
itna mat chaho use wo bewafa ho jayega
nazar se guftgu, khaamosh lub tumhari tarah
ghazal ne sikhe hain andaaz sab tumhari tarah
pahli bar nazaron ne chaand bolte dekha
hum jawab kya dete kho gaye sawalon main
aankhon ki kishtiyon mein safar kar rahe hain wo
jin doston ne dil ke safine duboye the