View Single Post
Old 19-11-2011, 06:11 PM   #9
.BZU.
Default Re: Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)

Quote:
Originally Posted by Muzammil View Post
2 qayamat ke din koi kisi ki sifarish nahi karega.. nafsi nafsi ka alam hoga.. yahan tak ki maa apne bete ko bhi nahi pehchanegi.
:P

Nasfa nafsi ka alam tu theek hay..

But Quran majeed main , 1 yeh ayat bhi mojood hay, jis ka mafhoom hay,kay

Qiymat kay din, Neek log dosray naik logon ki (Choti choti khataon ke bakhshwanay ki) Allah kay hukum say safrish kerain gay... (But yahan bhi yeh kahin nahi hay, ke Neek logon ko Safairsh kay liye Pokara jaiyega)

Yeh Safarish Qiymat kay Rooz hei hogi, Aj kal kay dinon main nahi.

Abh iss ayat ka, molviyon nay yeh meaning nikaal lia hay. ke Zindon ko aur murdon ko safarish kay liye Pokarana chahahiye.. agar nahi Pokarain gay, tu Allah Hamari Pokar sun bhi nahi saky ga, Maza Allah..
  Reply With Quote