View Single Post
  #1  
Old 06-11-2011, 09:49 AM
haseeb's Avatar
haseeb haseeb is offline
Sagar

 
Join Date: Apr 2010
Location: Multan Pakistan
Posts: 223
Contact Number: 03334840676
Program / Discipline: Engineering
Class Roll Number: 05-ME-45
haseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant future
Send a message via Yahoo to haseeb
Poetry Suno Yeh Waqt-E-Rukhsat Hai

Suno Yeh Waqt-E-Rukhsat Hai,Sakoot-E-Safar Tari Hai
Khatam Umro’n Ka Zar,Baqi Lamho’n Ki Rezgari Hai


Suno Aankhain Tuo Gumsum Hain,Dilo’n Main Aah-O-Zari Hai
Suno Ye Zabt Ka Mousam Nahin,Bay Ikhtiari Hai


Suno Ye Aas Ki Dori Utha Lo Hath Say Meray
Mere Hathon Main Kache Dhagon Ki Be-Aitbari Hai

Suno Main Khuwab Ab Bhi Dekhti Hoon Dil Ki Kehne Se
Meri Aankhon Main Ab Bhi Zakhm,Dil May Be-Qarari Hai


Suno Ye Raz Bhi Sun Lo Ke Dil Ka Khel Jitna Tha
Ye Bazi Tum Ne Jiti Hai,Hamesha Hum Ney Hari Hai


Suno Tum Saath Rehte Thay Meri Har Ek Sans Main
Tumhare Naam Karti Hoan Jahan Jitni Guzari Hai

Suno Aankhon Se Parh Lena Wo Sari An-Kahi Batain
Koi Pochay To Keh Dena,Bohat Hi Razdari Hai


Suno Palkon Pe Jitne Khuwab The Unko Utha Lena
Meri Aankhon Pe In Ka Bojh Meri Taqat Sey Bhari Hai


Suno Doori Se Ghabra Kar Hamain Awaz Dai Laina
Magar Yeh Rabta Dil Ka Bashart-E-Astawari Hai


Suno Hum Loutne Wale Nahi ,Sab Keh Lo Sun Lo Aaj
Bohat Hi Door Jana He,Barri Lambi Udari Hai


Suno Ye Waqt-E-Rukhsat Hai,Suno Ye Hurf-E-Aakhir Hai
Suno Ye Dard Hijar Ka Har Eik Hijrat Se Kari Hai



Regards
Reply With Quote