View Single Post
  #1  
Old 22-10-2011, 01:36 PM
haseeb's Avatar
haseeb haseeb is offline
Sagar

 
Join Date: Apr 2010
Location: Multan Pakistan
Posts: 223
Contact Number: 03334840676
Program / Discipline: Engineering
Class Roll Number: 05-ME-45
haseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant future
Send a message via Yahoo to haseeb
Default Muhabbat By Amjad Islam Amjad

Muhabbat ki tabiyat main yeh kesa bachpana QUDRAT ny rakha hy
K yeh jitni purani, jitni bhi mazboot ho jay
Issy taeed-e-taza ki zarorat phir bhi rehti hy
Yaqin ki akhri hadon tak dilon main lehlahati ho
Nigahon sy tapakti ho, lahoo main jagmagati ho
Hazaron terha k dilkush, haseen haaly banati ho
Ussy izhar k lafzon ki hajat phir bhi rehti hy
Muhabbat mangti hy yun gawahi apny hony ki
K jesy tufal-e-saada shama ko ek beej booy
Or shab main baar-ha uthy
Zameen ko khood ker dekhy k pouda ab kahan tak hy

Muhabbat ki tabiyat main ajab takraar ki khu hy
K yeh iqrar k lafzon ko sunny sy nahi thakti
Bichherny ki ghari ho ya koi milny ki sa'aat ho
Issy bas ek hi dhun hy
KAHO MUJH SY MUHABBAT HY
TUMHAIN MUJH SY MUHABBAT HY

Samander sy kahin gehri, sitaron sy siwa roshan
Piyaron ki terha qaeem, hawaon ki terha daeem
Zameen sy aasman tak jis qadar achhy manazir hain
Muhabbat k kana'ay hain, wafa k ista'ary hain, humary hain
Humary wasty yeh chandni raatyn sanwarti hain, sunhera din nikalta hy
Muhabbat jis taraf jay zamana sath chalta hy
Kuch aisi by-sakuni hy wafa ki ser-zameenon main
Jo ahl-e-muhabbat ko saada by-chain rakhti hy
K jesy phool main khushbo, k jesy hath main para, k jesy sham ka tara

Muhabbat kerny walon ki sehar, raaton main rehti hy
Guman k shak-chon main ashiyan banta hy ulfat ka
Yeh ain wisl main bhi hijer k khadshon main rehti hy

Muhabbat k musafir zindagi jab kat chukty hain
Thakan ki kirchiyan chunty, wafa ki ajrakyn pehny
Samy ki reh-guzar ki aakhri serhad py rukty hain
To koi toot'ti saanon ki doori thaam ker
Dheery sy kehta hy
Yeh sach hy na....!
Humari zindagi ek dosry k naam likhi thi
Dhundhal-ka sa jo ek aankhon k qareeb-0-door phela hy
Issi ka naam CHAHAT hy
TUMHAIN MUJH SY MUHABBAT THI
TUMHAIN MUJH SY MUHABBAT HY.


Regards
engr.Haseeb

Reply With Quote