hum ne ghazlon mein tumhen aise pukara mohsin,
jese tum ho koi kismat ka sitara mohsin..
ab to khud ko bhi nikhara nahi jata hm se,
wo bhi kya din thay k tujko sanwara mohsin..
apne khawabon ko andheron k hawale kar k,
hm ne sadka teri ankhon ka utara mohsin..
hum to rukhsat ki ghari tak bhi na samjhay,
saans deti rahi hijrat ka ishara mohsin..