Mohabbat Mukamal do hi dano par ye tasbeeh-e mohabbat hai Jo aye tesra dana ye dori toot jati hai Muqarer waqt hota hai mohabbat ki namazon ka Adda jin ki nikal jaye qaza bhi chot jati hai Mohabbat ki namazon mai amamat aik ko sonpo Issy takny,ossy takny se neyyat toot jati hai Mohabbat dil ka sajda hai jo hai touheed par qaim Nazar k shirk walon se ye aksar rooth jati hai
__________________ "Mohabbat udas hi achi lagti hai" |