Wafa mian ab yeh Hunar ikhtiyar kerna ha
Wo sach kahay na kahay Eaitabar kerna ha
Yeh tujh ko Jagtay rehnay ka Shoq kab say howa
Mjhay tu khair tera Intezar kerna ha
Hawa ki Zad main jalaye hain Aansoon k Charag
Khabi yeh Jashan Sar-e-Rahguzar kerna ha
Wo Muskura k nae Waswason m dal gaya
Khayal tha ussay Sharmsar kerna ha
Tere Firaq main Din kiss tarah kattein apnay
K Shugal-e- Shabb tu Sitaray shumar kerna ha
Chalo yeh Ashq hi Moti samjh k bech aaein
Kissi tarah tu hamein Rozgar kerna ha