Bichar jayein gay hum Lakin
Hamari yaad kay jugnoo
Tumhari Shaab kay daman main
Sitara bun kay chumkain gay
Tumhain bechain rakhain gay
Bohat masroof rehnay kay
Bahanay tum banaow gay
Bohat Koshish karo gay tum
Kay abb mausam jo badlain tu..
Hamari yaad na aey..
Magar aesa nahi ho ga
Kahain jo sard mausam main
January ki hawaoon main
Tumharay Dil kay goshon main
Jami hain barf ki tarha
Woh yaadain kesay peghlain gi..