View Single Post
Old 07-12-2010, 01:51 AM   #2
thecool
Pink Re: Taweez Shirk Hai(Hadees)

Agreed with you...
Agar taweez latkana shirk nahi to nabi ()
Sahaba ikram (r.a.u.h)ko ye kyon nahi bataya k
Tum taweez se tamam mushkilat se nijat pa sakte ho ,mushrikeen makkah k zulm aur sitam se dil bardashta na hoo balke taweez k zarey un k zulm se nijat pao aur tumhain unse qetal karte waqt bhi ghabrane ke zaroorat nahi balke tum apnay
Galay main aek taweez latkalo aur tumhain koi zakam na aaye ga.
Hadees main aata hai nabi ()ne farmaya
"Man alaqa Tamematan Faqad Ashraka"
Jis ne taweez latkaya us ne shirk kiya(masnad ahmed jild chaharum)
Aek aur taweel hadees main hai k nabi ()k pass aek jamat aaye aap ne un main se 9 se bait le magar aek ko chor diya sahaba ne poocha aek ko kion chor diya aap ne farmaya is ne galay main taweez bandha hai phir aap ne us k galay se taweez utara aur phir us se bhi bait le.

Aek aur jaga hai k jis ne koi cheez latkay uasy use k supurt kardiya jata hai
To meray bhaioon allah par tawakul karo taweez,dast shanase,nazar,jin booth ka saya
Murdoon se muradain mangna ye sab shirk o bidat main shumar hote hai .
  Reply With Quote