View Single Post
Old 24-07-2010, 11:34 PM   #1
usman_latif_ch
Default Sahih Muslim: Volume No. 1, Hadith No. : 241

Sahih Muslim: Volume No. 1, Hadith No. : 241

Hazrat Abdullah Bin Umar (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne famaya ke ay auraton ki jamaat tum sadqa do aur astaghfaar karo kyun ke maine dekha jahanam main aksar auratain hain.
Aik aqalmand aurat boli ya Rasool Allah (S.A.W)! kya sabab hai auratain kyun zayada hain jahanam main? Aap (S.A.W) ne faramaya: Wo la'nat bohut karti hain. Aur khawand ki na shukri karti hain. Maine aqal aur deen main kam, aur aqalmand ko be aqal karne wali tum se zayada kisi ko nahi dekha.
Wo aurat boli hamari aqal aur deen main kya kami hai?
Aap (S.A.W) ne farmaya: Aqal ki kami tou iss se maaloom hoti hai ke 2 auraton ki gawahi aik mard ki gawahi ke barabar hai. Aur deen main kami ye hai ke aurat kayi din tak (har maheenay main) namaz nahi parhti (hayz ki wajah se) aur Ramazan main rozay nahi rakhtiin (Hayz ke dino main).
  Reply With Quote