View Single Post
Old 13-07-2010, 10:29 PM   #1
usman_latif_ch
Islamic Sahih Bukhari : Hadith No. 6557 , Volume No. 8

Sahih Bukhari : Hadith No. 6557 , Volume No. 8

Hazrat Ans Bin Malik (R.A) se riwayat hai ke Hazrat Muhammad (S.A.W) ne farmaya : Allah Ta'ala qayamat ke din dosakh ke sab se kam azaab paane wale se pooche ga ke agar tumhein Roo-e-Zameen ki saari cheezain dastyab hon tou kya tum unko fidya main (iss azab se nijaat paane ke liye) de do ge? Wo kahay ga Haan. Allah ta'ala farmaye ga ke maine tum se iss se bhi behter cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum Adam (A.S) ki peeth main thay ke mere saath kisi ko shareek na karna . Lekin tum ne (Tauheed ka) inkar kiya aur na maana ,aakhir shirk hi kiya.
  Reply With Quote