Azaab -e- deed main aankhain lahu lahu ker kay
Main sharam saar huya teri justa ju kar kay
Suna hay shehir main zakhmi dilon ka maila hay
Chalain gay hum bhi magar pairahan rafu ker kay
Musafate shabe hijraan kay baad baid khula
Hawa dukhi hay charaghon ki aabru ker kay
Ujaar rut ko gulabi banaye rakhti hay
Hamari aankh teri deed say wazu ker kay
Yeh ki nay hum say lahu ka khiraaj phir maanga
Abhi tu soye thay maqtal ko sur khuru ker kay...