View Single Post
  #1  
Old 18-04-2010, 06:12 AM
Muzammil's Avatar
Muzammil Muzammil is offline
Super Moderator

 
Join Date: Oct 2008
Location: Mars
Posts: 822
Program / Discipline: English
Class Roll Number: 1234
Muzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud of
Default Jaa raha hu door teri nazro se

Jaa raha hu door teri nazro se
main laut kar kabi na wapas Aaunga
chale jaunga kuch itni door teri zindagi se,
ke main zindagi se khud ko bedakhal kar jaunga

na dekha kar tu mujhko ab aur aisi berukhi se
main khud har rukh se berukh hokar chala jaunga
ab kya karoge izhaar tum aakar mujhse, ke main
wajood e zahir se batin me muntaqil hokar chala jaunga

na kar sakega peecha koi chal kar bhi mere nakhshe
khadam, main raasta kuch itna taveel tai kar jaunga
behne lagenge darya ab ashkho ke har gali se, ke
main khud apni tasveer har dil se mita ta chala jaunga

kisi se kya puchoge ab nikal kar pata tum mera
main har pate se lapata hokar chala jaunga
aur jabke tumne hi na di ijazat hame rehne ki apne dil me,
to fir kyu na main ghairon ke dil me base apne Aashiyane
veeran chod na jaunga

kar chukenge paar ab har had diwaangi ki jo
poochne lagenge mera pata hokar mukhatib hawao se
wahid khuda rahega wakif mere tikhane se aise
main har kisi se gum ho jaunga...


__________________
Some thing about me but hardly can find
http://www.muzammilbashir.com/
Reply With Quote