Ajeeb shakhs tha har ik say piyar mangta tha,
=Jahan na dard ho aisa dayar mangta tha.
=Jo mangta tha wo dena meri bisat na thi,
=Wo meri rooh ka mujh sy qarar mangta tha.
=Usay gharz thi na pholo na baharoo say zara,
Wo fasl-e-ranj mein fasl-e-bahar mangta tha.
=Usay talab thi koi toot ker usay chahay,
=Wo haath jorh k ulfat ka izhaar mangta tha.
=Meray khuloos pay shayed tha shak usay
MOHSIN
=Wafa ki rah mein wo aitbaar mangta tha....