View Single Post
  #1  
Old 08-04-2010, 11:44 AM
Muzammil's Avatar
Muzammil Muzammil is offline
Super Moderator

 
Join Date: Oct 2008
Location: Mars
Posts: 822
Program / Discipline: English
Class Roll Number: 1234
Muzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud of
Default Meri nazam ki lerki

woh chanchal albeli lerki meri nazmain yun perhti hai
jaisay un nazmon ka mehwar
us ki apni zaat nahi hai,
(yani itni sundar lerki aur koi bhi ho sakti hai!)
jaisay us ko ilm nahi hai yeh sari batain ,us ki hain
sari ghaatain us ki hain
her aahat hai us ki aahat, sab saaye hain us kay saaye
sarey mehmal us k hain
her khushbu hai us ki khushbu, sab chehray hain us kay chehray
saarey aanchal us kay hain
jaisay us ko ilm nahi hai us lerki kay saarey kaam
saarey naam usi kay hain
her khirki hai us ki khirki, sarey baam usi kay hain
us lerki kay naam say jo kuch main nay apnay naam likha hai
us say hi mansoob hua hai
(shayed mera waham ho lekin main nay yeh mehsoos kia hai)
jab main nazam sunaata hoon woh aankh churaney lagti hai
mujh say nazrain mil jaayen to wo shermaney lagti hai
kuch lamhay woh chanchal lerki gum sum si ho jati hai
lekin thori der main phir say pather ki hojati hai
jaisay meri nazam ki lerki!!

__________________
Some thing about me but hardly can find
http://www.muzammilbashir.com/
Reply With Quote