07-04-2010, 04:21 PM
|
#2 |
| Re: :028:100 % agreed with you, ...
Allah kay siwa kay baray main quran majeed main kaafi dafa zikar aya hay,
Muhammad SAW bhi Allah kay siwa hay, so humain ya rasool bhi nahi pokarana chahiye...
Loog kehtay han kay murday qaber par anay walon ki sunntay hain,
But Allah kehta hay kay (alroom 52, Alfatir 22)
Read below highlighted ayat.. and translation. Muhammad SAW , jo itni hazeem hasti hain, wo bhi murdoon ko nahi suna asktya tu loog kia khaak sunain gay ..
Loog kehtay hian kay hum ghoos paak kay muhtaaj hain, Hum nabi SAW kay muhtaaj hain.
but Allah kehta hay. (hum nabi SAW kay muhtaaj sirf iss sorat main hain kay un ki waja say humain Islam ki nimat naseeb hoi, is kay ilwa rozmara kaamon main hum Allah tala kay hei muhtaaj hain.)
Loog kehtay hain kay hum quran ko mantay hain,
but haqeqat yehi hay kay yeh loog har trah say quran kareem ki nafi (ulat) karnay ki koshish krtay hain,aur har woo kaam kartay hain jo quran majeed main mana kia giya hay, |
| |