View Single Post
  #810  
Old 17-03-2010, 02:42 PM
Raheel's Avatar
Raheel Raheel is offline
Contributor

 
Join Date: Aug 2009
Location: City off Lights (Due to Load Shedding)
Age: 40
Posts: 1,689
Contact Number: Ask Me!
Program / Discipline: Bachelor of commerce
Class Roll Number: 00
Raheel has a reputation beyond reputeRaheel has a reputation beyond reputeRaheel has a reputation beyond reputeRaheel has a reputation beyond reputeRaheel has a reputation beyond reputeRaheel has a reputation beyond reputeRaheel has a reputation beyond reputeRaheel has a reputation beyond reputeRaheel has a reputation beyond reputeRaheel has a reputation beyond reputeRaheel has a reputation beyond repute
Send a message via MSN to Raheel Send a message via Yahoo to Raheel
Default Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.

Itni shidat say woh shaks meri ragon main utar gaya hay SAHIL,
Kay usay bhool janay kay liye mujhay marna he hoga..


---------- Post added at 01:44 PM ---------- Previous post was at 01:43 PM ----------

Zindagi tu he bata kesay tujhay piyar kerun,
Teri har subha meri umar ghata daiti hay..


---------- Post added at 02:31 PM ---------- Previous post was at 01:44 PM ----------

Hum samandar ki tarah zarf wasee rakhtay hain MOHSIN,
Dil main dard bhi ho to chehray par sukoon rehta hay..


---------- Post added at 02:32 PM ---------- Previous post was at 02:31 PM ----------

Wo is Anna main rehtay hain kay hum un ko un say mangain,
Hum is guroor main kay apni he cheez hum manga nahi kertay..


---------- Post added at 02:33 PM ---------- Previous post was at 02:32 PM ----------

Kuch is liye bhi doston say rabita kam rakhta hoon,
kay kal mar bhi jaoon to ksi ki aankh num na ho..


---------- Post added at 02:35 PM ---------- Previous post was at 02:33 PM ----------

Ek umar guzar chuki tujhay chahtay howay,
Tu aj bhi be khabar hay kal ki tarah..


---------- Post added at 02:36 PM ---------- Previous post was at 02:35 PM ----------

Kitnay majboor hain hum taqdeer kay hathon GHALIB,
Na usay panay ki Oqat rakhtay hain na khonay ka Hosla..


---------- Post added at 02:37 PM ---------- Previous post was at 02:36 PM ----------

Kuch zakham sadiyon baad bhi taaza rehtay hain FARAZ,
Waqt kay pass bhi har marz ki dawa nahi hoti..


---------- Post added at 02:39 PM ---------- Previous post was at 02:37 PM ----------

Jinho nay neend apni bhula kay sulaya hum ko,
Jinho nay aansoo apnay gira kay hansaya hum ko,

Dard kabhi na daina un hastiyon ko,
Zamana kehta hay Maa Baap jin ko..


---------- Post added at 02:40 PM ---------- Previous post was at 02:39 PM ----------

Mujhsay aksar wo ek he sawal poochta hay,
Tum mujhay itna piyar kion kertay ho,

Koi ja ker bata day us ko,
Zindagi kis ko piyari nahi hoti..


---------- Post added at 02:41 PM ---------- Previous post was at 02:40 PM ----------

Talaash mujh ko na ker Dasht e Rehbar main ay dost!,
Nagah e Dil say zara dekh teray kitnay pass hoon main..


---------- Post added at 02:42 PM ---------- Previous post was at 02:41 PM ----------

Un kay liye jab hum nay bhatakna chor diya,
Yad main un ki jab tarapna chor diya,

Wo roye buhut aa ker tab hamaray pass,
Jab hamaray dil nay he dharakna chor diya..