Wo ojhål meri nigahon se kahan rehta ha,
Wo ashk ban kar Aankhon se rawan rehta ha,
Kisi lamhe tanha hone nahi deti teri yadein,
Mere Angan mein maile ka saman rehta ha,
Har gharri dil ka daricha khula rakhte hain,
Har gharri tere aane ka guman rehta ha,
Log kehte hain zakhm bhar jate hain akhir,
Zakhm bhar jate hain lekin nishan rehta ha,
Wo mile to itna bata dena usko,
Tujh bin tera
"MOHSIN" Pareshan rehta håi......@