View Single Post
Old 26-02-2010, 05:53 PM   #1
momna gull
Poetry Wo Habib e Khuda(SAW) Naat

Wo jo shabnam ki poshak Pehnay Hue
Zard patton K jismon Pe lehra Gaya
Jis Se pehlay thi zulmat main Lipti Hui
Ghamzada zindagi
Fikr Jamid, Tamaddun K Asaar Mafqood Thay
Nakhl E Tehzeeb per ek Wehshi Khizan ka Asar
Qalb e Insaniat
Siskion, Aansuon aur Zakhmo K benoor Ghar

Aisey Alam Main Aik din,
Achanak k Makhluq per Rab ko Piyar agaya
Sir Per Rehmat Ka ek TAJ sajaye Hue
Tohfa e Ishq e RABBI Uthaye Hue
Wo Jo Aya To Ahd e bahaar agaya
Ishq Ko jiske Dil Ki Shariat Kahen
Zikr Ko jiske Jan Ki Ibadat Kahain
Wo Habib e Khuda(SAW)
AHMED E MUJTABA (SAW)
MOHAMMAD MUSTAFA (SAW)
Un per Peham Durud
Un Per Har dum SALAM
  Reply With Quote