Kabhi is tarah maray hamsafar
Sabhi chahatain maray naam kar
Agar ho sakay to kabhi kahin
Maray naam bhi koi shaam kar
Maray dil kay saayay main aa zara
Meri dharkanon main qayaam kar
Yah jo maray lafzon kay phool hain
Taray raastay ki yah dhool hain
Kabhi in say sun meri daastaan
Kabhi in kay sath kalaam kar