Hamad: Ay Allah jab bhi tera Asman daikhta hon
Ay Allah jab bhi teera Asmaan daikhta hon
Us main basa ek jahan daikhta hon
Na janay kitnay hei jahano ki sair karta hon
Khool kar jab tera Quran daikhta hon
Teray Ehsan kitnay hain bando par
Jab bhi Surah Rehman Daikhta hon
Tu tu kehta hay kay rag-e-jan say bhi hoon main qareeb
Phir preshan kiyon aaj ka insan daikhta hon
Uski rehmat say kabhi mayoos na hona ay dost
Tujh per main uski rehmat ka nishan daikhta hon..
|