View Single Post
Old 16-12-2009, 11:27 PM   #1
usman_latif_ch
Poetry Wo bakshta hai gunah e azeem b lekin

Wo bakshta hai gunah e azeem b lekin,

hamari choti si naiki sanmbhal rakhta hai,

Hum usay bhol jatay hain roshni main,

wo tariqi main b khayal rakhta hai,

Jo kabi dair sai lotun to meri maa ki tarhan,

wo mere rizk ka hisa nikal rakhta hai,

gharon main jin k diya b nahi hai un k lye,

fiza main chand sitaray uchaal rakhta hai,


Mohabat apne bandon sai kamal rakhta hai.

Woh aik ALLAH he hai jo tera or mera khayal lazawal rakhta hai.
  Reply With Quote