View Single Post
  #1  
Old 19-11-2009, 10:22 AM
Foki's Avatar
Foki Foki is offline
Always keep halaal

 
Join Date: May 2009
Location: Lahore
Posts: 360
Contact Number: 0321-8484454
Program / Discipline: Engineering
Class Roll Number: 16D2-208050-I
Foki will become famous soon enoughFoki will become famous soon enough
Send a message via MSN to Foki Send a message via Yahoo to Foki Send a message via Skype™ to Foki
Poetry Jee chahay to sheesha ban jaa

Jee chahay to sheesha ban jaa
jee chahay paimana ban jaa
Sheesha paimana kia ban'na
may ban jaa may khana ban jaa

may ban ker may-khana ban ker
masti ka afsaana ban ja
masti ka afsaana ban ker
hasti say bay-gaana ban ja

hasti se bay-gana hona,
masti ka afsana ban'na,
iss honay se, iss ban'nay say,
acha hai deewana ban jaa

deewana ban janay se bhi
deewana hona acha hai
deewana honay se acha
khaak-e-dar-e-janaaNa ban ja

khaak-e-dar-e-janaaNa kia hai
Ehl-e-dil ki aankh ka surmah
Shama kay dil ki, thandan ban jaa
Noor-e-dil-e-perwana ban jaa

Seekh zaheen kay dil se jalna
Kaahay ko her shama pe jalna
Apni aag main khud jal jaey
Tu aisa perwaana ban jaa

__________________
MUHAMMAD FURQAN LATIF CH.

QUICKLINX
WIRELESS

House# 341, Block-H, Hazrat Usman Street, Sabzazar Scheem, Multan Road, Lahore.

Tel: 042-37495200, Fax: 042-37495200, Cell: 0321-848 4454




Reply With Quote