Re: Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay... Mujhe yeh samajh nahi aa raha ki itni choti si baat samajh kyon nahi aa rahi ki jaan dalna SIRF ALLAH KI SIFAT HAI. tab kaise koi jadogar kisi rassi ya lathi ko saanp bana sakta hai.. allah taalah ke ilawa sirf isa alleh salam ke paas yeh mojizah tha woh bhi koi unki karamat ya khud mukhtari nahi thi.. woh sirf allah ka diya hua mojizah tha jo ki allah ki barayi and qudrat dikhane ke liye tha and woh allah ke nabi the is liye unhe allah ne apni barhayi dikhane ke liye choose kiya. can you plz explain me usman sahab ki agar allah ke huqum se aap ke jadugaron ne rassi ko saanp banaya tha to woh kaun se allaah ke pyare the jo allah unke zariye kuch dikhana chahta tha ya apni sifat unhe di jo ki sirf aur sirf allah ki zaat hai jo jaan dalti hai.. ya aap kehna chahte ho allah tala aise hi apni sifat logon de deta hai..
About Woh rassi hai ya saanp..
aap ko urdu parhna aata hai..? us aayat me saaf lafzon me tarjooma likha hai ki musa alleh salam ka asa nigalta chala gaya jadugaron ke shobde ko.. so can you explain me brother ki shobde ka matlab kya hota hai..? ya aap yeh kehna chate ho ki naozobillah allah talaah ke paas words us waqt nahi the that why unhone wahan likhna to tha ki nigalta chala gaya saanp ko and likh diya shobda.. ya kehna chate ho ki us word ka tarjuma hi galat hai.. woh word ka tarjuma shobda nahi hai balki saanp hai.. ya kehna chahte ho ki sab kuch galat hai.. i dont know ki jo baat saaf likhi hui hai quraan me ki shobda nigla fareb then whats the meaning of jaan daali.. jab jaan daal hi di to woh shobda ya dhoka kaise hua woh to ek zinda haqeeqat ho gayi.. and wahan likhne ki koi zaroorat na hoti allah ko ki shobda nigla.. saaf likha hota ki jadugaron ke saanp jo ki zinda the and jise aapke mutabik jadugaron ne lathi ko jaan daal ker banaye the..
About kya musa alleh salam ko samajh nahi thi..
Bhai sahab aap kehna kya chahte ho..? ki musa alleh salam kya the..? koi geb jaanne wale ya unke paas koi aisi taqat thi jo unhe jo nazar aa raha hai uske ilawa bhi dikhai deti thi.. meine to kahin bhi yeh nahi parha ki musa alleh salam ke paas aisi koi mojizah tha.. woh sirf allah ke bande and nabi the.. and nabi masoom hote hain unhe sirf utni hi khbar hoti hai jitna allah batata hai unhe.. me ya app wahan nahi the hame yeh nahi pata ki musa alleh salam us waqt kya think kar kay dar mehsoos kar rahay thay. agar woh aise hi bina kisi ki madad ke sab kuch jante then allah talah ko unhe mojizah dene ki zaroorat hi na hoti.. |