View Single Post
  #2  
Old 08-11-2009, 08:20 PM
.BZU.'s Avatar
.BZU. .BZU. is offline


 
Join Date: Sep 2007
Location: near Govt College of Science Multan Pakistan
Posts: 9,693
Contact Number: Removed
Program / Discipline: BSIT
Class Roll Number: 07-15
.BZU. has a reputation beyond repute.BZU. has a reputation beyond repute.BZU. has a reputation beyond repute.BZU. has a reputation beyond repute.BZU. has a reputation beyond repute.BZU. has a reputation beyond repute.BZU. has a reputation beyond repute.BZU. has a reputation beyond repute.BZU. has a reputation beyond repute.BZU. has a reputation beyond repute.BZU. has a reputation beyond repute
Islamic Jado main asar mana lena kufar o shirk hay...

Quote:
Imam Bukhari , Imam Muslim or jitny bhi Mohadeseen ab tk guzray or jitny mojoud hain wo sb Mushrik hain or thy yan wo sb k sb jahil thy jo unko quran ki smjh nahi thi or na he ha jo unhon ny jado, sheetanon or jinon k mutaliq ahadees ko sahi kaha
Ye baat imaam bukhari , Imam Muslim jadogar kay jado main asar nahi mantay thay,jabkay un ka eman tu Allah kay rasol wala tha kay jo gham ya khushi milti hay Allah ki traf say hay, jabkay Jis banday nay wo ahades copy ki us nay khud hei jadoo (dhoka) kar kay logo ka emaan kharab karnay li ay. kuch apni traf say ahadess daal dein.
Idirectly aap tu yeh keh rahay hain kay yeh sab quran majeed ko nahi mantay thay aur kehtay thay kay Jaddo mindonillah (Allah kay siwa) nahi hay. baaqi peer,butt waghera Allah kay siwa hain

Dosari baat agar yeh ahades aap ko mil bhi gai hain kahein say. tu kia aap Ahlehadess (firqah) ki trah quran majeed ko chorna pasand karain gay...
Jaisay Is book main sehar-jadoo-main-asar-manna-kufar-aur-shirk-he-written-dr-basheer-ahmed parhain tu saaf zahir ho raha hay kay jado main asar mannay walay Quran majeed ki kitni ayat ka inkaar ho raha hay.. agr nahi kar rahay tu yeh book parh kar reply karain kay wahan par konsi baat ghalat hay.



More text added by usman
Quote:
>>>>jabkeh aesa hrgiz nahi ha wo sb Quran ko hm sb sy bohat zada achi terhan smjhny waly thy or unhon ny bohat tahqeeq k bad Sahi bukhari or Sahi muslim ko likha or tamam ummat iss bat per mutafiq bhi ha k sahi bukhari or sahi muslim kisi bhi qisam k shaq sy pak ha issi ki tamam ahadees hr eitabar sy sahi hain

Yeh baat bhi tu Hadees main hay.... reference bhi likha hay

Aap konsi hadees ki baat kar rahay hain, jis ka koi reference hei nahi . kay jis par poori muslim ummat mutafiq.. App SAW pr jado ka asar mannay wali ahadees par tu Imam abu haneefa ko bhi imaan nahi tha.. then how can you say tamam ummat..
.

Jabkay sirf wo ummat manti hay (jado par iman lati hay jo kehti hay kay jadoogar aur jadoo nuafa nuqsan deta hay) aur un kay li ay quran aur hadees main saaf saaf likha hay kay wo kafir hain aur mushrik hain, Yeh baat yeh Molaana bhi mantay hain. Watch above videos...again ,, pehli 2 hei daikh lain...

----------
Some Questions from 1st 2 videos
Abhi 1st 2 Video suni: Hmmm...Aik tu yeh molana sahab yeh keh rahay hain
Surah baqra ki ayat 102 main yeh keh rahay hay kay frishtoon nay kufar nahi kia. sheetano nay kufar kia jo kay logon ko jado sikhatay thay..

Then agay ye kiyon kaha ja raha he kay Frishtay logon ko jado sikhaya kartay thay. means frishton nay jado sikhanay ka kufuar kia.?
Halankay Pori islamic history chaan li ja ay tu . Yeh baat saaf saaf zahir ho jati hay kay frishtay nabiyon kay pass Allah ka peghame haq lay kar aatay hain . na kay Mushrakeen kay pass aa kar. Un ko Nabiyon kay khilaf kartay hain...

Nabi SAW par jadoo ka asar man lena.. means . Aap SAW jado zada ho gay thay. jaisa kay Maka kay mushrkeen kehtay thay...
Jab.
Khulfa Rashedeen nay Jadogaron ko zinda dafan karnay ka hukam diya (Because kay wo logon ka eman kharab kartay thay, aur kaha kartay thay hay Allah tala ki taqtain na aozbillah un jadogaron main aa gai hain)
tu tab wahan un jadogaron ka jado kahan giya tha..
tab bhi jadogar apnay jado kay asar say apnay aap ko bacha saktay thay na.

ya phir yeh man na paray ga kay jadogaron kay jado ka koi asar nahi hota hay. Balkay Allah tala jo marzi karay wohi hota hay...

Jadogar kia. Muhammad kareem SAW bhi apnay nafa nuksaan ka kuch ekhtiyar nahi rakhtay thay. jaisa kay surah Jin 19 to 23 main... tu jadogar (aik kafir insan) kaisay kisi kay oper jado kar kay nuksan pohuncha sakta hay?aur wo bhi Muhammad Kareem SAW ko takleef... Jin kay li ay Allah nay yeh kaha hay kay.
see here:
Name:  surah-younis-107.jpg
Views: 4311
Size:  28.4 KB

Even kay... Surah baqrah ki ayat 102 main saaf saaf likha hay kay saleman A.S kay zamnay main sheetan loog jo kay jadoo kay kalemaat sikha kartay thay. un kay wo kalemaat un ko koi nafa nahi dete thay..wahan jo kuch bhi hota tha jadoo kay kalemat say nahi balkay Allah kay hukum say hota tha. tu phir yeh kaisay mana ja sakta hay kay nabi SAW par naozbillah Jado ka asar ho giya tha aur aap jado say bimar ho gay thay ?

piyary nabi SAW par koi jado ka asar nahi huya. balkay yeh kay. Jo bhi takleef App SAW par aa e wo tu Allah tala ki traf say hei thei. kisi jadogar kay jantar mantar ki traf say nahi...



Video 2:
jab Allah tala nay itna keh diya hay kay...
Surah baqra 102 main kay jado kay kalemaat say koi nafa nuqsan nahi ho sakta.jado mushrakeen ka amal hay.

tu yeh baat bhi theek ho gai kay Youn lagnay laga kay jadoo ki waja say rasiyan dornay lagi hain.(as jado say koi nafa milta hei nahi ) Asal main jado ki waja say aisa kuch nahi huya tha kay wo real main saanp ban gay ay thay.but wo rasiyan aisay feel ho rahi thei.


LOL:
Molana sahab ka kia eman nay Agar jado main asar na hota tu Allah tala jado karnay say mana na farmatay.
It means kay Jaisa kay Kafiron ka emaan hay kay Un ko butt dete hain/taweez deta hay/ kali kamlee wala deta hay/darbar ka zinda peer deta hay (but Allah nay humain in say mangnay say mana farmaya hay..)
tu agar Allah nay humain un say mana farmaya hay. it means naozbillah mushrakeen kay maobood khud atta kartay hain (jaisa kay Antar mantar sho phoo...)...agar mushrakeen kay mabood Atta nahi kartay tu. Un ki poja karnay say rooka nahi jata..kabroon par sajda karnay say rooka nahi jata...(LOL)


Jab aap keh rahay hain kay. agar koi aqeeda rakhay kay jado say nafa aur nuksan ho sakta hay yeh . wo kufar aur shirk hay.(Yeh hadees Molana sahab nay khud quote ki hay)

Then agr koi yeh Aqeeda rakhay kay.Muhammad SAW par Yahoodi kay jado ka asar ho giya tha, to wo bhi kafir ho giya.
jaisa kay (Munkir e quran aur hades loog) Ammi Ayesha R.A say rewayat kar kay sabit kar rahay hain...kay un ka yeh aqeeda tha kay. App SAW ko Allah ki traf say takleef nahi aa e balkay jadogar kay jado ki traf say takleef mili thi.

Jab jado say Adami ki moot waqay hona man lia (
Aur jin sab ka aap zikar kar rahay hain.)Jaisa ka Quran aur hadees main wazah likha hay kay yeh sab Mushrakeen kay acts thay kay jado say yeh ho jata hay wo ho jata hay.(kisi jaga par quran main yeh nahi hay kay muslamno ka emaan tha kay jado say jadogar yeh kar deta ay wo kar deta hay)
tu yeh jado par emaan ho giya..
Jaddo nay quran ki haqeqet biyan ki tu he na ke. jadoo mehiz jadogar ka fareeb hay . surah taha69

Surah Nisa 51,52 main Saaf saaf likha hay kay jo jado aur taghoot par eman lay aa ay . un par Allah ki lanat hay..
Aur aap nay jo hadees quote ki hay un ka koi # aap nay quote hei nahi kia. why? yeh khud say banai gai hay isli ay nahi kia kiya?

Jadoo ki haqeqat sirf itni hay kay wo aik Trick hay. jaisa kay Magic show main hota hay.
Is kay ilawa agar koi aur haqeqat hay tu wo sirf Kafiron/Yahodiyon aur mushrakeen ka emaan hay.. kay yeh ho jata hay . wo ho jata hay waghera waghera.


Yeh muslamano ka emaan nahi.kay jadoo main asar he.
App nay quran majeed ki jo bhi ayat peesh ki hain. us main sab kafir/mushrik ka zikar kia hay kay wo mantay thay kay yeh ho jata hay wo ho jata hay. Kahin pr ye nai likha ke falan muslan mante the k asar he.
See Surah taha 69:
Firoon kay jadogaron nay tu maan lia tha kay jado main koi asar nahi hay.un ka apna kia giya jado sirf dhoka fareeb tha, isliay wo tu sajday main gir paray thay. But afsoos, Ajj ki ummat.APP SAW ko bhi Sehar Zada bana dia.
-----------------------------


__________________
(¯`v´¯)
`*.¸.*`

¸.*´¸.*´¨) ¸.*´¨)
(¸.*´ (¸.
Bzu Forum

Don't cry because it's over, smile because it happened