View Single Post
Old 29-10-2009, 10:44 PM   #52
.BZU.
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Allah k quran ki koi bhi aeyat quran ki kisi aeyat sy nahi takrati magar apki soch

tu phir aap phir jado par emaan lanay walay loog kyon takra rahay hain. main nay pechay ayat qoute ki hain. kia wo nahi takra rahi............

udhar Allah yeh keh raha hay ayat main kay jadogar ka jado shoobda hay,jadogar ka fareeb hay. aur jadogar kay jado say koi faida ho bhi nahi sakta . aur udhar Allah yeh kaisay keh sakta hay kay jadogar kay jado main asar hota hay?

tu yeh sabit ho giya na kay jadogar kay jado say kuch nahi hota , Jo Allah chahay karta hay, Agar wo mafooqul asbab ho raha ho tu wo mojza hota hay. aur agar wo matehtul asbab ho raha ho wo tu normal baat hay.

Quote:
Aeyaat ko kat kat k perny ki bajye puri aeyat koi bhi perhy ga tu wsko saf saf pata chal jye ga k haqeeqat kya ha
Ayat aap khud tu pori parho na...waisay is ayat ki sahi tashreeh us book main hay, jo main nay books walay section main post ki hay... agar nahi manna parhna tu na mano...

.
Quote:
"Bayshak insaan jinaat ki panah talab kia kartay thay...javaban unho (jinaat) nay unki takaleef mein izafa kardiya..." (Al-jin...2)


yeh ayat 2 nahi balkay 6 hay..dosari baat . aap nay translation kaisi kar di hay...
is ki asal translation nechay parh lo.
Is main jino ka gharoor is li ay bhar giya kay . Jin (kafir jino) ka gharor aur barh giya kay . jin kehnay lagay kay hamari taqat say tu yeh Jahil insan bhi khoof khatay hain....
aur agay 7th ayat surah jin ki parh lain tu, aapko yeh bhi samjh aa jayegi kay yeh koon loog thay jo jino ki panah mangtay thay, yeh wo loog thay jo kehtay thay kay marnay kay baad unka hisab kitab nahi hoga...

aur agar aap bhi kehtay ho kay marnay kay baad aap ka hisab kitab nahi hoga tu aap bhi jino ki panah manga karain... jaisay kay is ayat 6 aur 7 main bataya giya hay




Quote:
koi jado ghar yan wska jado nuqsan nahi pohcha sakta laqin Allah chaty tu ( jado/amliyat) sy kisi nuqsan ka hukam dy sakta ha
tu yeh baat main nay 3 dafa pechay batai hay kay Allah kaisay chahay ga...

Quote:
Allah or booton/Peeron etc mein bhi faraq ha na in ki characteristics mein bohat faraq ha

laqin kafir tu booton sy manty, Log peeron k pass ja kr bhi muradain mangty hain or Allah un k zarzeh un ko deta bhi ha
tu kya hm yeh tasawer kr rahy hain k peeron/booton ko allah ny ikhteyar dy diya ha?
yan yeh keh unko sheetan dy raha ha..........
is baat ka jawab bhi main nay pechay diya hay kay. jab peeron aur button ka ikhteyar ko tasawaer nahi kar rahay tu jadogar (hum jaisa bebas insan) kay kia ay dara ko taswur kiyon kar rahay ho......

Quote:
jado ghar k jado mein asar nahi ha magar Allah chahy tu kisi ki azmaesh k liye jesy booton k pooja kerny walon ko booton sy ata kerta ha aesy he jado mein beshak asar nahi ha magr agr koi jado kerwata ha tu Allah wski azmeash k liye Allah kisi ka nuqsan ker sakta ha
tu yeh kiyon nahi man lete kay yeh kaam Allah ki traf say huya hay. yeh kiyon maan rahay ho kay jado ki waja say huya hay aur jado ka asar ho giya hay......

Quote:
laqin jado ghar kamyab nahi hoga matlab k wo nahi hoga kamyab kabhi nahi hoga
You believe kay jadogar ghar baithay kisi ko physically effect kar sakta hay tu wo kamiyab kiyon nahi huya......

Quote:
Allah k nabi pr jado wali(sahi bukhari)
Waisay yeh hadees quote karna zara. Is say hadees ko man lene say tu App SAW ki jo shaan quran paak main hay wo wrong maloom hoti hay. qoute karna hadees, i will explain kay kaisay ghalat sabit hoti hay.abhi nechay bhi daikh lo, ayat qoute ki hay.

Quote:
Allah k nabi jado zada shakseeyat nahi thy un pr jado hwa tha(allah k hukam sy) waqti tore pr or khatm ho gaya tha or jado ghar nakam ho gaya tha
Jab Allah kay nabi par jado ho giya tu , yeh sabit ho giya kay Muhammad kareem SAW . naozbillah Sahir zada ho gay thay... Asaghfirullah. Jab kay Allah nay quran majeed main farmya kay...jadogar kamiyab hei nahi ho sakta tu Allah nay azamaish kay li ay apni kaafi saari ayat main khud say ekhtelaaf kar diya...
Jaisay is ayat # 8 ka... Muhammad SAW pori life main 1 lamha bhi sehar zada nahi ho ay... samjhay..




Abh aap bhi is hadees kay mutabiq yeh keh rahay ho kay Nabi kareem SAW par bhi jado ho giya tha... aur hum sehar zada shakhs ki Perwi kartay hain.... Astaghfirullah... naozbillah...

Quote:
Originally Posted by usman
Sheetan Khoon ki trah door sakta hay, LOL..
. Tu Allah bhi tu insan ki sheh rag say ziyda kareeb hay. so it means Allah tala bazat e khud insan ki sheh rag kay andar hotay hain? No never. It means kay Allah insan kay itna qreeb hay kay insan ka har kaam daikh raaha hay

Yahan door skta hay say murad kay insan kay itna qareeb hay kay foran behka, warghala sakta hay.. Jaisa kay Adam A.S ko bheka diya tha..It does not means ke Jini Sheetan Khud insan kay khoon kay anadar aa kar baith jata hay, aur insan say achay buray kaam karwata hay...


Quote:
Allah k nabi ny sheetan k namaz k doran pakra(Sahi bukhari or sahi muslim)
yeh hadees itni chhoti kaisay ho sakti hay. sirf itna kuch . kay namaz main akar pakra. It means kay namaz main aa kar waswasa dala, warghlaya... It does not mean kay Sheetan Nay aakar aap SAW ka Haath pakar lia,
aur aap SAW par apna zooor jamanay ki koshish ki,

Balkay Nabi SAW ka tu yehi iman tha , jaisa kay quran paak main likha hay...
kay sheetan kahay ga kay mera tum logon par koi zoor nahi tha (Jis main Muhammad SAW bhi shamil hain) Main tum ko dawat deta tha aur tum labaik kehtay thay,

Is Ayat say Aap ka Sheetan ki baaqi sab taqaton ka mafrooza hei khatam ho jata hay... because sheetan ka insan per koi zoor hei nahi hay. wo bas waswasa daal sakta hay . nothing else...

Name:  Ibraheem 22 , sheetan power on human being.GIF
Views: 9878
Size:  17.8 KB

Please ahadees kay Number. page number wagheera tu bata dain... takay main search kar kay in kay baray main malomat lay sakon... kay yeh aisay kiyon likhi gai hain.



Quote:
in mein sy ek bhi hadees quran sy nahi takrati na he Allah k koi bhi aeyat quran sy takrati ha magr apki interpretation
Ap SAW par jado wali hadees takra tu rahi hay...


Quote:
Allah kisi ki azmaesh k liye kuch bhi kr sakta ha jado k zarywh kisi ka nuqsan bhi ker sakta ha
Phir wohi baat duhra rahay ho kay jado kay zariay hota hay. Allah jado kay zariay karwata hay... Allah jado kay zariay hargiz nahi karwata. Allah nay khud karna hota hay tu karta hay. warna jadogar ki itni majaal nahi kay wo Allah ko apna kamiyab karnway kay li ay majboor kar di..

Theek hay agar maan lain kay jadogar kay zariye Allah karwata hay. tu yeh baat sach ho gai na kay Aap ko bhi jado par eman hay...

read surah nisa. Ayat pechay quote ki hain...


Quote:
iss bat sy bhi yeh wazeh ho raha ha k jado ka asar aesa bhi ho sakta k wo kisi ko pagal bana sakta ha kyoun k agar jado sirf dhokha hota tu wo mushreqeen ap(S.A.W) ko kabhi Allah ki wadaneeyat or apni reesalat ka hukam deny pr yeh na kehty k ap pr jado ka asar ho gaya ha (kyoun k agar jodo kuch nahi hota wo bhi janty hoty k yeh tu sirf dhokha hota ha)
So Allah nay yeh ayat aisay hei likh dain kay jadogar ka jado Dhoka hay. aur Jadogar ka jado koi faida nahi deta. aur jadogar ka jadi shobada (sirf trcik jaisay Magician kartay hain) hay...

Quote:
yeh na kehty k ap pr jado ka asar ho gaya ha (kyoun k agar jodo kuch nahi hota wo bhi janty hoty k yeh tu sirf dhokha hota ha)
Kia baat ki hay Mushrakeen aur Aaj kay muslamaano ko barabar kar diya hay...




Un kay jado means un kay trick say wo door rahi thein... yeh nahi kay un kay jadoo main asar ho g iya tha aur jadogaron nay asali saanp bana li ay thay...

Name:  taha 69.gif
Views: 17168
Size:  25.7 KB

Quote:
Alredy mentioned k taqat nahi di ha wo kuch bhi nahi kr sakta , wo kuch bhi nahi kr sakta, wo kuch bhi nahi kr sakta

magar allah chahy tu kisi k azmesh k liye jesy peeron sy kisi ko iman rakhny pr aataa kerta ha issi terhan kisi ka nuqsan kr sakta ha
Jab peeron say mangnay par Allah aatta karta hay aur Peer atta nahi kartay.
Tu yeh main mat maano na ho kay jadogar kay jado kay asar say insaan pagal ho jata hay

jab itna maan letay ho kay sab Allah karta hay . tu yeh manana kiyon mushkil hay kay Allah nay jadogar ko kisi ko pagal karnay ki taqat nahi di??


Firoon kay jadogaron nay tu maan lia tha kay jado main koi asar nahi hay, isliay wo tu sajday main gir paray thay. But afsoos, Ajj ki ummat... phir kehti hay kay hum tu muslim ummat hay. humaray opper zalzalay kiyon aatay hain. humary opper khud kush hamlay kiyon hotay hain...

But yeh baat sach hay kay (jaisa ka pichhli aqmam say sabit hay) Allah kisi na kisi trah apni munkir qoom per hei azaab bhaijta hay. aur kehta hay kay mere azab ka maza chakhoo...