View Single Post
Old 25-10-2009, 05:41 PM   #18
BSIT07-01
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Pehli baat ...

Aap nay kaha Keh Insaan ko kaat kar doobara Milanay wala Jado dikhao ... us ki asliyat aap nay daikh li ...

doosri baat ...

Aap keh rahay ho keh jado allah ki marzi say kaam karta hay .. woh tu sab kuchh allah ki marzi say hota hay ... iss tarah tu main bhi keh doon keh main ghar main baithay baithay fallan kaam kar sakta hoon ... Lakin agar Allah Chahay tu ho jaye ga aur agar allah na chahy tu nahi ho ga ... Tu kia yeh jadoo ho ga?

Kia Jadoogar yeh kehta hay keh Allah Nay chaha tu hoga ? wo tu yeh kehtay hain keh humaray ammal say hoga ...

Agar kehtay ho keh jadoo gar kay amal main asar hay tu phir peeroon kay amal main bhi asar hona chahiay... They also do similar things... don't they?




Unhoon nay rasiyan aur lathiyan phaikein ... Saanp nahi thay woh (might be acting like snakes) ... As far I know they were just moving like snakes ...

Aur next ayat kay end main likha hua hay "Un kay jhotay shobdoon ko"

Any correction will be accepted ...


---------- Post added at 05:41 PM ---------- Previous post was at 05:32 PM ----------

Quote:
yani Allah chahy dhokha nuqsan kr sakta ha is it?
No, It could be interpreted like that ...

Aik jadoogar nay kaha keh yeh banda iss din mar jaye ga ...

Aur Allah nay bhi uss banday kay marnay ka hukm day dia ho ...

Tu kia Allah us jadoogar ko jhoota karnay kay liay apna hukm change kar dain ?

Banda maray ga tu Allah kay hi hukm say But jadoogar kahay ga keh us ki waja say hua hay, Agar woh apnay Amal na karta tu banda na marta ...