Un k aane ka hai imkan KHUDA khair karay,
Dil pe guzre ga ye tufan KHUDA khair karay,
WO to hain oonchay mehelat k rehne walay,
or mera ghar hai byaban KHUDA khair karay,
UN ka kehna hai k mehfil me uthaein gain naqab,
mera kho jaye na emaan KHUDA khair karay,
WO ye kehte hain k is bar na judai ho ,
mein ye kehta hon meri jaan KHUDA khair karay,
main ne mangi hai wafa or wafa k badle..
Us ne mangi hai mri jaan KHUDA khair kare.