Wo anaa parast sahee uss ki baaton main iqraar bhi tha. . .
uss ke chubhtey howey lehjey main chupa pyar bhi tha!
wo mujhe likhta hai k muntazir na rahoo lakin. . .
us ki tehreer main sadioon ka intazar b tha!
wo kehta hey matt rootho k manana nahi ata. . .
meri narazgi per lakin woh beyqarar b tha!
main shayad phir na likhta usey Apni khabar lakin. . .
Dosti ka bharam rakhna tha,
kuch dil bay ikhtiyar b tha.