Koi sukoon ki jagah talash karen,
Aa mil k wafa talash karen,
Jurm dono ka hai aik sa,
Aa ek jesi saza talash karen,
Ghum seene main kbi phootne na pae,
Aa aisi aab-o-hawa talash karen,
Dono apni ana main na mit jaen,
Koi darmiyani c raah talash karen,
Qurbat apni q duri main badal gai,
Aa hum apni apni khata talash karen,
Dekhte he dekhte jo dil main utar jae,
Mohabat ki wo pehli nigah talash karen...@