Tanhayion k azaab nay mujay sonay nahi diya,
Ek Yaad-e-Beqarar nay mujay sonay nahi diya,
Aati hui Khizaan ka meray Dil may khauf tha,
Jati hui Bahaar nay mujay sonay nahi diya,
Hum ko har aik pal teri Aamad ki aas thi,
So hum ko teray intezar nay sonay nahi diya,
Yaadon ki khushbu nay jagaya tamam raat,
Shab bhar tumhary Pyar nay mujay sonay nahi diya,
Poosheda meray Dil may kahin aaj tak ho tum,
Meray us PYAR nay mujay sonay nahi diya......!