Kaafi arsa beet gaya,
Janay ab wo kaisa ho ga...?
Waqt ki sari karh'vi batain,
Chup chaap hi wo sehta ho ga...
Ab bhi bheegi barish main wo,
Bin chath'ri k chalta ho ga..
Mujh se bichry arsa beeta,
Ab wo kis se larh'ta ho ga..?
Achcha tha jo sath hi rehtay,
Baad main us nai socha ho ga.
Apnay dil ki sari batain,
Khud se khud hi kehta ho ga.
Ankhain num bhi hoti hon gi.
Yad wo aanchal krta ho ga.
Naam wafa ka aaye jab bhi..
Yaad mujhay wo karta ho ga.....!