View Single Post
Old 21-09-2009, 11:18 AM   #3
usman_latif_ch
Default Re: ͘ÇíÇÊö ÊÕøæÝ

Quote:
aap nay kuch batain ki jin main shaid 5% sadaqat ho saktu hay.
mein ny jo batain kien wo 100% sach hain or ahista ahista mein yeh sb sabit bhi karoonga or jahan tk tasawaf/sufi'ism/spirituality ka taluq ha yeh sara ka sara deen he "hakayaat te sufah" per mabni ha na k quran or hadeeth per or hakayaat jhooti bhi ho sakti hain or sach bhi or ajkal tu apny apny bazurgoon ko sacha or bari karamat wala sabit kerny k liye bohat sy log sari hakayaat apni taraf sy hr suna suna kr logon ko mayal kerty hain tk k allah k bandon ko allah k he bana diya jata ha
Name:  63.gif
Views: 2101
Size:  40.8 KB
Quote:
laikin banday nay apni tamaam uner iss shoba e deen main guzar di hay.
tu phir banday ny sari umer ek aesy shoba e deen mein guzar di jis ka deen sy siray sy he koi taluq nahi kash k apny apni sari umer shariyat k mutabiq guzari hoti kyoun k allah hamain quran diya ha or apny nabi k zaryeh shariyat di ha or iss k bad deen main taman ilm k darwazay band ho chukay hain kyoun k allah ny or ws k rasool ny hm per deen mukamal kr diya ha or sirf or sirf yehi rah e nijat ha

Quote:
aap agar pasand karain to Tasawuf e Islami kay mutalak jo ghair sharai
af'aal muasharay main raij hain, banda un kay mutalik aik alihida thread
open kar kay baat kar lay aur ap ki iss mail ko hawala bana lya jay to kaisa
ap yahan issi thread mein bat kr sakty hain

Quote:
umeed hay kay aitaraz baray aitaraz to bat karna yaha maqsood nahi.
nahi sirf haqeeqat ko janana or wsko manana matloob ha
Quote:
ulma e haq go nay is baat ki wazahat ki hay kay tanqeed karna asaan hay laikinn islah baray islah kay samundar main utarna dunya ka sab say mushkil kaam hay. tanqeed ka haq sab ko nahi hota. balkay ahle fun hi us per jaraah karain gay.
ap behtar hoga ulma haq go ki bat nahi allah or ws k rasool ki batoon sy sb biyan karain kyoun k ulma haq go hr ek k nazdeeq mukhtalif hain ap k koi or mere koi or or kisi k koi or tanqeed ka haq allah ny hr insan ko diya ha ta keh hr koi hr bat ko sahi toor per smjh kr haq jan sakay
Quote:
Ap sawal kar saktay hain kay quran aur hadis say ahle tasawuf kay manasib aur is ka saboot farahum kya jay?
han mein yeh sawal zarror kata or yeh bhi kerta k k allah k quran or shariat k hotay hway ek new branch of knowledge ka deen mein izafa kyoun kiya gaya kya hamare liye wohi deen kafi nahi ha jis ka allah ny or ws k rasool ny hamain hukam diya or ws per amal kiya....
or mein yeh bhi poochana chaoon ga k tasawaf ka aghaz kahan sy hwa iss ki wajha or base kya thi


Quote:
ap ki bato say mehsoos hota hay kay app bhi kisi peer sahab kay dasay huay hain. jo apnay aap ko qalander kahtay thay. aur niklay ccharsi. LOL.......
chalo agar wo charsi na hoota or sahi qalander he hota tu yeh qalander kahan sy banaye gye hain
Quote:
aisa hi fitna muashray main phaila hua hay. Allah pak sab ko mehfooz rakhay.ameen
jee han bilkul bohat sy aesy he fitnay deen mein aa chukay hain jin ka aj sy 1400 sal pehlay or ws k kai arsa tk koi wajood he nahi tha

Quote:
ijazat dain kay banda alihida thread main apkay ashkalaat duur kar day . kya maaloom kay usman Latif Chaudhary buhut say behen bhaiyu ki hidayat ka sabab bun jay aur Usman Latif Chaudhary ki wajah say kharay khotay ki pehchan ho jay......
jee han bilkul kyoun k allah ny farmaya ha k jab haq aa jata ha tu batil bhag jata ha or allah ka quran haq ha ...

Quote:
jawab ka ab intazar rahay ga

intazar mat karain ....i am always ready


Last edited by usman_latif_ch; 21-09-2009 at 11:59 AM.
  Reply With Quote