View Single Post
  #3  
Old 26-08-2009, 01:10 AM
irfishahpk's Avatar
irfishahpk irfishahpk is offline
Irfan Shah (ISB)

 
Join Date: Nov 2008
Location: Islamabad
Posts: 1,333
Contact Number: Awain
Program / Discipline: MBA(IT) Postgraduate
Class Roll Number: Lay
irfishahpk will become famous soon enoughirfishahpk will become famous soon enough
Default Re: People who want attention

Kahtay hain kay gila unhi say kiya jata hay jo apnay hotay hain. Kion kay pata hota hay kay woh mind kar bhi lain to phir bhi maan jayain gay. Actually jo pyaray hotay hain woh chahtay hain kay un ko har waqt chaha jaye or har waqt un ki baat ho is liyay woh tawajoh hasil karnay kay liyay apnay pyaron say lartay hain. Takay us ka dehan kahin or na chala jaye.

Or kahtay hain kay agar sacha pyar ho to woh kabhi kam nahi hota but umeedain barh jati hain. Is liyay pyaray har waqt ziyada pyar ki aas lagaye hotay hain. Is liyay shayad aapas main lartay bhi hain. Jahan thori bohat larai hoti hay wahan pyar bhi bohat ziyada hota hay.

__________________
Everyone is going to hurt you sooner or later,You just have to decide whose worth the pain
Reply With Quote